sham-e-be-mehar mein ek yaad ka jugnu chamka

sham-e-be-mehar mein ek yaad ka jugnu chamka
aur phir ek hi chehra tha ki har-su chamka

ai charagh-e-nigah-e-yar main jaan se guzra
ab mujhe kya jo pae dil-zadagan to chamka

roz milte the to be-rang tha tera milna
dur rahne se tere qurb ka jadu chamka

dil mein phir bujhne laga zabt ka tara koi
phir meri nok-e-mizha par koi aansu chamka

taj-e-khusraw ki chamak mand padi jati hai
shahr ke kucha-o-bazar mein lohu chamka

kho gaya hai unhi tarik khalaon mein kahin
wo bhi kya chand tha jis se mera pahlu chamka

main ne jaana ki 'farasat' koi gham-khwar aaya
aks-e-mahtab kuchh is tarah lab-e-ju chamka


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close