sham-e-gham hai teri yaadon ko saja rakkha hai

sham-e-gham hai teri yaadon ko saja rakkha hai
main ne danista charaghon ko bujha rakkha hai

aur kya dun main gulistan se mohabbat ka subut
main ne kanton ko bhi palkon pe saja rakkha hai

jaane kyun barq ko is samt tawajjoh hi nahin
main ne har tarah nasheman ko saja rakkha hai

zindagi sanson ka tapta hua sahra hi sahi
main ne is ret pe ek qasr bana rakkha hai

wo mere samne dulhan ki tarah baithe hain
khwab achchha hai magar khwab mein kya rakkha hai

khud sunata hai unhen meri mohabbat ke khutut
phir bhi qasid ne mera nam chhupa rakkha hai

kuchh na kuchh talkhi-e-haalat hai shamil 'razmi'
tum ne phulon se bhi daman jo bacha rakkha hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close