sham ke baad sitaron ko sambhalne na diya

sham ke baad sitaron ko sambhalne na diya
raat ko rok liya chand ko dhalne na diya

mauj-e-baatin kabhi auqat se bahar na gai
had ke andar bhi kisi shai ko machalne na diya

aag to chaaron hi jaanib thi par achchha ye hai
hosh-mandi se kisi chiz ko jalne na diya

ab ke mukhtar ne muhtaj ki diwar ka qad
jitna mamul hai utna bhi nikalne na diya

jin buzurgon ki wirasat ke amin hain hum log
un ki qabron ne kabhi shahr badalne na diya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close