sham KHamosh hai peDon pe ujala kam hai

sham khamosh hai pedon pe ujala kam hai
laut aae hain sabhi ek parinda kam hai

dekh kar sukh gaya kaise badan ka pani
main na kahta tha meri pyas se dariya kam hai

khud se milne ki kabhi ganw mein fursat na mili
shahr aae hain yahan milna-milana kam hai

aaj kyun aankhon mein pahle se nahin hain aansu
aaj kya baat hai kyun mauj mein dariya kam hai

apne mehman ko palkon pe bitha leti hai
muflisi jaanti hai ghar main bichhauna kam hai

bas yahi soch ke karne lage hijrat aansu
apni lashon ke muqabil yahan kandha kam hai

dil ki har baat zaban par nahin aati hai 'fahim'
main ne socha hai ziyaada use likkha kam hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close