shamen jugnu chand ke haale jama karo bojhal hai shab narm ujale jama karo pina hai zahrab-e-halahal mujh ko bhi mere yaro pyar ke pyale jama karo shayad khud ko dohrae tarikh-e-wafa apni bazm mein hum se jiyale jama karo aur badhaen shan chaman ki jin ke zakhm aaj wo kanton ke matwale jama karo sukh ki manzil ke sathi to lakhon hain dukh ki rah mein chalne wale jama karo 'raj asir-e-zulf na honge diwane dasne wale nag nirale jama karo