sharab aae to kaif-o-asar ki baat karo piyo to bazm mein fikr-o-nazar ki baat karo fasana-e-kham-e-gesu mein kaif kuchh bhi nahin nizam-e-alam-e-zer-o-zabar ki baat karo chaman mein dam bichhata hai waqt ka sayyaad gulon se hausla-e-baal-o-par ki baat karo qaba-e-zohd ki pakizgi to dekh chuke sharab-khane mein daman-e-tar ki baat karo kahaniyan shab-e-hijran ki ho chuki hain tamam sahar tulua hui hai sahar ki baat karo chaman chaman mein udhar ho rahi hai had-bandi khuli fazaen jidhar hain udhar ki baat karo gulon ka zikr bahaaron mein kar chuke 'akhtar' ab aao hosh mein barq-o-sharar ki baat karo