sharab-e-ishq se maKHmur sab KHurd-o-kalan honge

sharab-e-ishq se makhmur sab khurd-o-kalan honge
tuyur-e-bagh-e-ulfat mahw-e-didar-e-butan honge

dil-e-shabnam mein ummidon ki kaliyan muskuraengi
urus-e-hajla-e-gulshan ke bhi arman jawan honge

gale mil kar karenge barg-o-gul sargoshiyan paiham
mohabbat ke manazir dekhne ko baghban honge

nasim-e-subh mein jis dam anadil chahchahaenge
bahaaren hum ko dhundhengi na jaane hum kahan honge

hamari zindagi ko bojh jo khud par samajhte hain
pas-e-furqat ba-sad hasrat wahi mahw-e-fughan honge

padega waqt jab un par to dhundhenge hamein har su
magar us waqt hum shahr-e-khamoshan mein nihan honge

hamari sarhad-e-tanhai pe roegi tanhai
baghair-e-qafila bhi hum amir-e-karwan honge

zara ek bar ji bhar kar dar-o-diwar takne do
mere tarik hujre mein ye nazzare kahan honge

tumhaari wasf sun sun kar yahi mahsus hota hai
tumhaare naznin gesu misal-e-kahkashan honge

usi ki god mein sar rakh ke main aansu bahaunga
tere naqsh-e-qadam jis khak ke dil mein nihan honge

umidon ki chatanen jab bahengi sail-e-ghurbat mein
ye manzar dekh kar saton tabaq girya-kunan honge

inhi lamhon ki chahat ne mujhe di hai hayat-e-nau
zamin ki god mein jalwa-numa jab aasman honge

hamari aarzu hai ek pal bahon mein bhar lije
ki kuchh hi der mein hum raunaq-e-nok-e-sinan honge

'falak' ki qabr par bhi fatiha padhne wo aaenge
zahe-qismat fasil-e-ishq se jis dam ayan honge


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close