sharab-e-nab ka qatra jo saghar se nikal jae

sharab-e-nab ka qatra jo saghar se nikal jae
tadap ke dil mera qabu-e-dil-bar se nikal jae

khushi mein kah raha hun aamad aamad hai jo us gul ki
koi kah de ki virani mere ghar se nikal jae

satate hain raqib aa aa ke main go chhup ke baitha hun
ajab ye zulm hai koi kidhar ghar se nikal jae

agar sun le ki tere sakht-jaan ki bari aa pahunchi
simat kar aab-e-khanjar chashm-e-jauhar se nikal jae

nikalo roz ghar se dar nahin lekin ye hai dhadka
ki mera nam hi ek din na daftar se nikal jae

ghata ke main ne apna shauq-e-dil likkha hai jaanan ko
ki udne mein na khat aage kabutar se nikal jae

na jaane ki karo jaldi ki qissa khatm hota hai
thahar jao zara dam jism-e-laghar se nikal jae

qafas mein dam mein mere phadakne ka ye bais hai
hawa parwaz karne ki mere par se nikal jae

ijazat abr ko dar par thaharne ki nahin dete
bas itna hukm hai aa ke faqat barse nikal jae

'rashid'-e-sokhta-dil sar patakne par hai aamada
kaho har ek sharar se jald patthar se nikal jae


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close