shauq ki nukta-daniyan na gain raat biti kahaniyan na gain husn ne di hazar bar shikast ishq ki lantaraniyan na gain naqsh ban ban ke rah gain dil mein sarsari naujawaniyan na gain chehra-e-zindagi ki raunaq hain hauslon ki nishaniyan na gain 'wajd' mayusiyon ke zor mein bhi azm ki kaamraniyan na gain