shauq ko aazim-e-safar rakhiye be-khabar ban ke sab khabar rakhiye chahe nazren ho aasmanon par panw lekin zamin par rakhiye baat hai kya ye kaun parkhega aap lahje ko pur-asar rakhiye jaane kis waqt kuch karna ho apna saman mukhtasar rakhiye ek tuk mujh ko dekhe jati hain apni nazron pe kuchh nazar rakhiye