shiddat-e-shauq asar-KHez hai jadu ki tarah

shiddat-e-shauq asar-khez hai jadu ki tarah
dil ki dhadkan ki bhi aawaz hai ghunghru ki tarah

main wo diwana-e-haalat hun sahra sahra
jo phira karta hai bhatke hue aahu ki tarah

jaane kis rang mein aai hai bahaaran ab ke
phul bhi zakhm sa shabnam bhi hai aansu ki tarah

wo jo amwaj-e-hawadis mein hain palne wale
un ko tufan nazar aata hai lab-e-ju ki tarah

gum-rah-e-shauq ko hamrah dikhane ke liye
zulmat-e-shab mein chamakte rahe jugnu ki tarah

fikr-o-fan ki nae gul-daste saja kar 'wahid'
aao bas jaen har ek zehn mein khushbu ki tarah


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close