shikasta-par hai ye unchi uDan rakhta hai

shikasta-par hai ye unchi udan rakhta hai
parinda hai to parinde ki shan rakhta hai

bahut hi budha sahi par isi shajar se ghar
tamam shahr mein ek aan-ban rakhta hai

ajab hi chiz hai aanchal bhi man ka ai logo
ki sar to jaise koi aasman rakhta hai

wo shakhs jo mere har faisle ka tha paband
sawaliya mere aage nishan rakhta hai

hui hai baalon ki chandi se baat ye raushan
wo pa-e-umr ki sar par takan rakhta hai

wo shohraton ke bayaban mein thahra la-sani
ki sarw se kahin badh kar uthan rakhta hai

agarche wada nahin phir bhi jaane kyon 'amir'
ye dil usi ki hi aahat pe kan rakhta hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close