shikwa-e-iztirab kaun kare apni duniya kharab kaun kare gin to lete hain ungliyon pe gunah rahmaton ka hisab kaun kare ishq ki talkh-kaamiyon ke nisar zindagi kaamyab kaun kare hum se mai-kash jo tauba kar baithen phir ye kar-e-sawab kaun kare gharq-e-jam-e-sharab ho ke 'shakil' shaghl-e-jam-o-sharab kaun kare