shikwa hum tujhse bhala tez hawa kya karte

shikwa hum tujh se bhala tez hawa kya karte
ghar to apne hi charaghon se jala kya karte

tum to pahle hi wafaon se gurezan the bahut
tum se hum tark-e-talluq ka gila kya karte

gul mein rangat thi nazaron mein jawani tujh se
hum tere baad bahaaron ka bhala kya karte

tujh se dil mein jo gila tha wo na lae lab par
phir se hum bhar gae zakhmon ko hara kya karte

hum to kar dete gila tujh se na aane ka tere
ghont deti thi par ummid gala kya karte

jis ki ulfat mein har ek chiz luta di 'fayyaz'
hum ko samjha gae aadab-e-wafa kya karte


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close