shisha hi chahiye na mai-e-arghawan mujhe

shisha hi chahiye na mai-e-arghawan mujhe
be-mange jo mile wahi kafi hai han mujhe

ai shokhi-e-nigah zara ehtiyat rakh
is bazm mein hai pas-e-hadis-e-butan mujhe

yarab mere gunah kya aur ehtisab kya
kuchh di nahin hai khizr si umr-e-rawan mujhe

chunta tha rah-e-zist ke kharon ko main hanuz
hai sab abas ajal ne kaha na-gahan mujhe

lagta hai ek hujum mein gum hai mera wajud
dasti hain phir bhi kis liye tanhaiyan mujhe

un ke liye hain atlas-o-kamkhwab ke sarir
tan dhankne ko kafi hain kuchh dhajjiyan mujhe

kya kya sitam zamane ke main sah gaya 'anis'
marne ke baad yaad karoge miyan mujhe


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close