shoala jalta hua sard si sham mein man pighalta hua sard si sham mein wahshaton ne rag-e-jaan ko kata hai khub dukh masalta hua sard si sham mein aasmanon pe rangon ke mele bhi the din tha dhalta hua sard si sham mein kaun tha dasht mein sang mere kaho sath chalta hua sard si sham mein be-khudi ko kahun kya main apna badan dekhun dhalta hua sard si sham mein