shuur-e-hosh se begana kah diya hota

shuur-e-hosh se begana kah diya hota
zara si baat thi diwana kah diya hota

hui ye khair na dekha meri taraf warna
nigah-e-shauq ne afsana kah diya hota

agar na hotin in aankhon ki mastiyan makhsus
to aam logon ne mai-khana kah diya hota

kaha har ek ne mujh ko tumhaara diwana
kabhi to tum ne bhi diwana kah diya hota

mere sabab se zamane ka kyun liya ilzam
hai aadmi koi diwana kah diya hota

ye waqia hai agar shahr mein na hote tum
to main ne shahr ko virana kah diya hota

na badhti baat mohabbat mein is qadar 'saib'
jo us ne apnon mein begana kah diya hota


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close