shuur-e-nau-umr hun na mujhko mata-e-ranj-o-malal dena

shuur-e-nau-umr hun na mujh ko mata-e-ranj-o-malal dena
ki mujh ko aata nahin ghamon ko khushi ke sanchon main dhaal dena

hudud mein apni rah ke shayad bacha sakun main wajud apna
main ek qatra hun mujh ko dariya ke raste par na dal dena

agar khala mein pahunch gaya to palat ke wapas na aa sakunga
tum apni hadd-e-kashish se uncha na mujh ko yaro uchhaal dena

wo suratan aadmi hai lekin mizaj se mar-e-astin hai
agar use aastin mein rakhna to zahr pahle nikal dena

na jaane khidki se jhankti ye kiran kise rasta dikha de
tum apne kamre ki khidkiyon par dabiz parde na dal dena

sukut-e-shab todne ki khatir bhi koi hangama sath rakhna
na sham hote hi har tamanna ko qaid-khane main dal dena

ye hum ne mana ki tum mein suraj ki si tapish hai magar ye sun lo
ki hum samundar hain aur aasan nahin samundar ubaal dena


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close