sidhe-sadhe log the pahle ghar bhi sada hota tha

sidhe-sadhe log the pahle ghar bhi sada hota tha
kamre kam hote the aur dalan kushada hota tha

dekh ke wo ghar ganw wale sog manaya karte the
sahn mein jo diwar utha kar aadha aadha hota tha

mustaqbil aur haal ke aazaron ke sath nimatne ko
chaupalon mein mazi ki yaadon ka iada hota tha

dukh chahe jis ka bhi ho wo mill kar banta jata tha
gham to aaj ke jaise the ehsas ziyaada hota tha

ladke baale milon paidal padhne jaya karte the
pas hai jo school wo pahle dur-uftada hota tha

thak jata koi to mil kar bojh ko banta karte the
dost ne dost ka basta apne upar lada hota tha

itni sharm to hoti thi aankhon mein pahle waqton mein
gali mein sar nicha rakhta jo bahar dada hota tha

soch samajh kar hote the tab sath nibhane ke wade
lekin jo kar lete the wo wada pura hota tha

khat mein dil aur tir bana kar minnat karni padti thi
yar bahut mushkil se milne par aamada hota tha

dekh 'hasan' kis mansab se le aaya ishq faqiri tak
jis se puchha apne daur mein wo shahzada hota tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close