silsila raushan tajassus ka udhar mera bhi hai ai sitaro us khala mein ek safar mera bhi hai chaar jaanib khinch din us ne lakiren aag ki main ki chillaya bahut basti mein ghar mera bhi hai jaane kis ka kya chhupa hai us dhuen ki saf ke par ek lamhe ka ufuq ummid bhar mera bhi hai rah aasan dekh kar sab khush the phir main ne kaha soch lije ek andaz-e-nazar mera bhi hai ab nahin hai us ki khidki ke tanazur mein bhi chand ek pur-asrar mausam se guzar mera bhi hai ye bisat-e-arzu hai is ko yun aasan na khel mujh se wabasta bahut kuchh daw par mera bhi hai jine marne ka junun dil ko hua 'bani' bahut aasman ek chahiye mujh ko ki sar mera bhi hai