sitam hai tere aashiq ke liye bimar ho jaana

sitam hai tere aashiq ke liye bimar ho jaana
badi aafat hai dal ke hath se na-chaar ho jaana

badal jaana nigahon ka to dekha par nahin dekha
dil-e-ashiq se us ka tir ban kar par ho jaana

nasihat se wo baz aata nahin tum baz aaoge
pahunchna samne naseh ke jab sarshaar ho jaana

kiya hai ashk-e-hasrat tu ne ruswa mujh ko mahfil mein
kaha kis ne ki yun mere gale ka haar ho jaana

akele mein tasawwur khub karna us sitam-gar ka
lahad mein khwab-e-ghaflat se agar bedar ho jaana

dil-e-pur-gham raqib ru-siyah dekhe nahin tujh ko
gali mein us ki ja kar saya-e-diwar ho jaana

nahin furqat gawara tair-e-dil tum ko dilbar ke
pahunchte hi asir-e-gesu-e-kham-dar ho jaana

khuda hafiz hai apna dekhiye kaisi guzarti hai
badi mushkil hai rah-e-ishq ka dushwar ho jaana

qadam-bosi mayassar ho kisi surat se us but ki
'jamila' baad-e-murdan khak-e-ku-e-yar ho jaana


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close