sitam-taraaz talak zaKHm-ashna bhi to ho

sitam-taraaz talak zakhm-ashna bhi to ho
ufuq ufuq shafaq-e-dard ki hina bhi to ho

khala-ba-pa hun magar dasht dasht khak-ba-sar
kuchh apna aap mitane ki intiha bhi to ho

main khak ban ke faza mein bikhar bikhar jaun
kisi ke panw tale zina-e-saba bhi to ho

hawas ki barf badan se pighal to jae magar
sharar sharar koi paikar kabhi chhua bhi to ho

nazar nazar mein hazaron sawal hain lekin
falak se koi meri samt dekhta bhi to ho

nai ghadi nae sahra nae ufuq lai
kisi tarah haq-e-ashuftagi ada bhi to ho

barahnagi mera mazhab mera suluk bane
magar badan pe kisi qadr ki rida bhi to ho

meri wafaon ki gahraiyon ka khoj to le
wo bahr-e-husn kabhi zarf-azma bhi to ho

faqat bayan-e-haqiqat nahin hai manzil-e-haq
jihat-shanas wo hai jo jihat-numa bhi to ho

tere siwa bhi kisi ko kahun nadim magar
tere siwa koi shaista-wafa bhi to ho


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close