siyah-KHana kabhi jalwa-gar sa lagta hai

siyah-khana kabhi jalwa-gar sa lagta hai
kaho kahan se ye virana ghar sa lagta hai

ruke hue hain usi phir milenge par ab tak
kaha zaban ka us ki nazar sa lagta hai

chhupi hai kab koi bhi baat tum se par phir bhi
wo baat kya hai ki kahne mein dar sa lagta hai

ye aaine mein mujhe dekhta hai kaun bhala
ek arse se jo idhar se udhar sa lagta hai

jo jaanta hai ki wo jaanta nahin kuchh bhi
wo be-khabar hi mujhe ba-khabar sa lagta hai

hai khwab-zar shikan-dar-shikan shikanja-bar
pa us mein naqsh tera mo'atabar sa lagta hai

wo aur fasana-e-kaun-o-makan wasia lage
main aur qissa ye kuchh mukhtasar sa lagta hai

maqam-e-marg kahan koi aakhiri manzil
sire se rah-e-fana ke safar sa lagta hai

kisi tarah use anjam tak nahin lata
tamasha-saz zara be-hunar sa lagta hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close