so ke jab wo nigar uthta hai misl-e-abr-e-bahaar uthta hai teri aankhon ke aasare ke baghair kab gham-e-rozgar uthta hai do ghadi aur dil lubhata ja kyun khafa ho ke yar uthta hai aise jati hai zindagi ki umid jaise pahlu se yar uthta hai zindagi shirkaton se chalti hai kis se tanha ye bar uthta hai jo bhi uthta hai us ki mahfil se khasta o dil-figar uthta hai aaj ki raat khair se guzre dard-e-dil bar bar uthta hai aao kuchh zindagi ke naz sahen kis se tanha ye bar uthta hai hosh mein ho to mai-kade se 'adam' kab koi baada-khwar uthta hai