sochta hun ki use nind bhi aati hogi

sochta hun ki use nind bhi aati hogi
ya meri tarah faqat ashk bahati hogi

wo meri shakl mera nam bhulane wali
apni taswir se kya aankh milati hogi

is zamin par bhi hai sailab mere ashkon se
mere matam ki sada arsh hilati hogi

sham hote hi wo chaukhat pe jala kar shamen
apni palkon pe kai khwab sulati hogi

us ne silwa bhi liye honge siyah-rang libas
ab moharram ki tarah id manati hogi

mere tarik zamanon se nikalne wali
raushni tujh ko meri yaad dilati hogi

rup de kar mujhe is mein kisi shahzade ka
apne bachchon ko kahani wo sunati hogi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close