imarat ho ki ghurbat bolti hai

imarat ho ki ghurbat bolti hai
ba-har-surat sharafat bolti hai

wahan bazar ka hota hai manzar
jahan ghar ki zarurat bolti hai

zaban khamosh hi rahti hai lekin
mere chehre ki rangat bolti hai

ba-zahir guftugu hai mukhlisana
magar dil mein kudurat bolti hai

wo patthar mom ban jae na kaise
ki sar chadh ke mohabbat bolti hai

zaban-e-ilm par tale pade hain
ba-zoam-e-khud jahaalat bolti hai

zabanen kat di jati hain phir bhi
rag-o-pai se mohabbat bolti hai

'wali' ki zindagi aaina-surat
sadaqat hi sadaqat bolti hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close