sochte aur jagte sanson ka ek dariya hun main

sochte aur jagte sanson ka ek dariya hun main
apne gum-gashta kinaron ke liye bahta hun main

besh-qimat hun meri qimat laga sakta hai kaun
tere kuche mein bikun to phir bahut sasta hun main

khwab jo dekhe the main ne wo bhi ab dhundla gae
ab to tum aa jao sahab ab bahut tanha hun main

jal gaya sara badan in mausamon ki aag mein
ek mausam ruh hai jis mein ki ab zinda hun main

mere honton ka tabassum de gaya dhoka tujhe
tu ne mujh ko bagh jaana dekh le sahra hun main

main to yaro aap apni jaan ka dushman hua
zahr ban ke aap apni ruh mein utra hun main

dekhne meri pazirai ko ab aata hai kaun
lamha bhar ko waqt ki dahliz par aaya hun main

tu ne be-dekhe guzar kar mujh ko patthar kar diya
tu palat kar dekh le to aaj bhi hira hun main

lafz gunge hain inhen goyai dene ke liye
zindagi ke sachche lamhon mein ghazal kahta hun main


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close