sochte rahna yahi gham-khwar se ho kar alag koi tanha rah gaya 'ansar' se ho kar alag katib-e-taqdir ne likhna tha jo wo likh diya ab kahan jaun salib-o-dar se ho kar alag ek lamhe mein utar jaega barson ka khumar kya karoge apne hi kirdar se ho kar alag soch mein duba hua hun main imarat ke qarib gir padi kyun chhat dar-o-diwar se ho kar alag yun ba-zahir kar raha hai wo talluq se gurez ji nahin sakta magar 'ansar' se ho kar alag