sohbat-e-shab ka talabgar na hoga koi

sohbat-e-shab ka talabgar na hoga koi
khauf itna hai ki bedar na hoga koi

dhup har samt se nikli to kahan jaoge
dasht mein saya-e-diwar na hoga koi

harf-e-ehsas bhi jal jaega honton ki tarah
muddaa qabil-e-izhaar na hoga koi

main ki parwarda-e-sahra hun bikunga kaise
dekh lena ki kharidar na hoga koi

kuchh to hai jis ki tapish zer-o-zabar karti hai
yunhi ruswa sar-e-bazar na hoga koi

sare aalam ko tajassus hai nai samton ka
kaise 'ghaalib' ka taraf-dar na hoga koi

kis ko ye ahd-e-junun saunp ke jaun 'nami'
jaanta hun ki saza-war na hoga koi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close