soz-e-sham-e-hijr se shab jal gae

soz-e-sham-e-hijr se shab jal gae
dhalte dhalte aansu hum khud dhal gae

kal ka wada kya raqibon se kiya
karte aaj aapas mein kuchh kal kal gae

wo utha kar yak qadam aaya na gah
hum qadam san us ke sar ke bal gae

kab chhupi chhab takhti aur wo chaal-dhaal
go ki munh par kar ke tum ojhal gae

shart thi manunga jo mangoge tum
nam-e-bosa sunte hi kuchh tal gae

sada-ru to dal ke ujle chor hain
hath le ye mal kurte tal gae

ghuncha-e-dil 'azfari' taqrib-e-sair
gul-rukhan pamal kar mal-dal gae


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close