subh-e-mahshar bhi gawara nahin furqat meri

subh-e-mahshar bhi gawara nahin furqat meri
mujh se rah rah ke lipat jati hai turbat mein

ranj deta hai maza wo hai tabiat meri
chain likhti hai mere waste qismat meri

aa ke thukra gae kis naz se turbat meri
na khuli aankh meri hae ri ghaflat meri

koi aata hai kahin aise siyah-khane mein
mere ghar ka hai ujala shab-e-furqat meri

sadqe ai tamkanat-e-naz dikha de mujh ko
hae wo aankh na ho jis mein murawwat meri

kya nidar ho ke shab-e-wasl wo aa baithe hain
jaante hain ki bacha legi nazakat meri

jitne dil khak hue roz-e-azal se ab tak
aaj un sab ka nishan deti hai turbat meri

mai-o-mashuq nahin aap mein rahne dete
baad-e-tauba bhi badal jati hai niyyat meri

is tarah hashr mein aaya hun lahad se uth kar
ki farishte nahin pahchante surat meri

hashr mein pesh-e-nazar honge butan-e-kafir
mujhe dar hai na bigad jae tabiat meri

dhoke deti hai buri tarah ye logon ko 'riyaz'
milti-julti hai bahut khizr se surat meri


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close