subh-e-nau lati hai har sham tumhein kya malum zakhm khushiyon ke hain paigham tumhein kya malum bhul kar bhi jo kisi bazm mein aaya na gaya sainkadon us pe hain ilzam tumhein kya malum log gulshan mein to chalte hain sar-afraazi se un mein kitne hain tah-e-dam tumhein kya malum kuchh andhere bhi khatawar-e-tabahi hain magar raushni par bhi hai ilzam tumhein kya malum jis ko tum dhundte ho sham-e-rukh-e-naz liye wo to arse se hai gumnam tumhein kya malum jo rukh-e-zist pe tha harf-e-ghalat ki manind mil raha hai use inam tumhein kya malum jo kafan bandh ke chalte hain wafa ki rah mein zindagi kar chuke nilam tumhein kya malum surkh-ru kaun hua kucha-e-jaanan mein kabhi namwar bhi hue badnam tumhein kya malum do qadam bhi na chale rah-e-wafa mein hum log hai abhi zauq-e-talab kham tumhein kya malum jo jala raat ki tanhai mein us par bhi 'khayal' bewafai ka hai ilzam tumhein kya malum