subh-e-wajud hun ki shab-e-intizar hun

subh-e-wajud hun ki shab-e-intizar hun
main aashkar hun ki pas-e-ashkar hun

har rang-e-be-qarar hun har naqsh-e-na-tamam
mitti ka dard hun ki sitaron ka pyar hun

kuchh to mere wajud ka hissa hai tere pas
warna main apne aap mein kyun intizar hun

ek aur aasman chamakta hai khwab mein
ek aur kaenat ka aaina-dar hun

tu ne mujhe khayal kiya tha isi tarah
gard-o-ghubar mein bhi sitara-shiar hun

jari ho be-mahaar talluq ki salsabil
ek aisi barshgal ka ummid-war hun

kaise khada hun kis ke sahaare khada hun main
apna yaqin hun ki tera e'tibar hun

ek bar apne ghar se nikala gaya tha main
phir is ke baad gardish-e-lail-o-nahaar hun

bas kuchh dinon ki aur saubat hai dhup ki
sahra-e-jism par koi barg-zar hun

tere jamal se meri aaankhon mein nur hai
tera khayal hai to main bagh-o-bahaar hun

sanson ke darmiyan sulagte hain baal-o-par
phir bhi kisi udan ka ummid-war hun

'ahmad' kisi zaman-o-makan ka nahin hun main
lamhon ki der hai jo sar-e-abshaar hun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close