subhen kirnen tha main, phir bhi shaMein phir bhi raat

subhen kirnen tha main, phir bhi shamen phir bhi raat
ek parda, phir farda hai aur phir aage ki baat

sochen tare nochen aur ja pahunchen kitni dur
dil hai gahra ek ja thahra khoje apni zat

ek chadar lafzon ki bun kar chhup chhup baithun ot
par aankhen apni hanken aur khulti jae baat

ghaten us ki sari baaten ghaten us ke taur
ghat hai ulfat, ghat hai nafrat aur nainan hain ghat

aanchal chhodun baadal odhun pichhe pichhe chand
aankhen kholun, lakh tatolun kuchh nahin mere hat

ishq mein pahle pal dil chanchal, duja pal ek rog
tije pal ye nainan jal-thal, chauthe pal sab mat

barkha ka qatra bhi dariya sare rut ke khel
bhadon ki chhajon barish bhi pal do pal ki baat


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close