subu mein aks-e-ruKH-e-mahtab dekhte hain

subu mein aks-e-rukh-e-mahtab dekhte hain
sharab pite nahin hum sharab dekhte hain

kisi bhi taur uthe par teri nigah uthe
jala ke ghar tujhe khana-kharab dekhte hain

use na dekh sakenge ai kash inhen dekhen
wo kaun hain jo ise be-naqab dekhte hain

hamare chehre pe likkha gaya fasana-e-waqt
hum aaina nahin takte kitab dekhte hain

wo hai hi laiq-e-sajda so hum ne sajda kiya
wo aur hain jo azab o sawab dekhte hain

hawas na jaan tujhe chhu ke dekhna ye hai
tujhe hi dekh rahe hain ki khwab dekhte hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close