suhani yaad ka dhoka na kharch ho jae mera ye aakhiri sikka na kharch ho jae mujhe hai shauq mera kam-sukhan kahe kuchh to use hai fikr ki jumla na kharch ho jae gulab sukh na jae kitab mein rakkha pas-e-naqab hi chehra na kharch ho jae tumhaari aankh mein is waste nahin takte hamari pyas pe dariya na kharch ho jae na yun bhi saint ke rakkho ki bhul hi jao pada pada koi pura na kharch ho jae mujhe khabar hai wo dariya-mizaj aadmi hai mujh aise dasht ka pura na kharch ho jae