sukun-e-dil ki KHatir ek sahaara DhunDte hain

sukun-e-dil ki khatir ek sahaara dhundte hain
jo gardish mein nahin hai wo sitara dhundte hain

abhi to tujh se wabasta hain pichhle zakhm sare
shab-e-rafta tujhe hum kyun dobara dhundte hain

koi ghar hi nahin to be-ghari ka zakhm kaisa
sukunat ke liye ek istiara dhundte hain

zamin achchhi lagi hai aasman par ja ke hum ko
kahan hai is zamin par ghar hamara dhundte hain

ye dariya zindagi ka par kaise ho ki jab hum
kinare par khade hain aur kinara dhundte hain

hamari khwahish-e-be-khwahishi jo rakh kar de
hum apni shakhsiyat mein wo sharara dhundte hain

kisi mahtab ko qadmon mein le aane se pahle
hum un aankhon ka halka sa ishaara dhundte hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close