sukun-e-qalb kisi ko nahin mayassar aaj

sukun-e-qalb kisi ko nahin mayassar aaj
shikast-e-khwab hai har shakhs ka muqaddar aaj

hai waz-e-haal meri kyun ye bad se bad-tar aaj
amir-e-shahr ke badle hue hain tewar aaj

har ek shakhs hai apne hisar mein mahsur
hai sab ke darpai aazar wo sitamgar aaj

kiya hai gardish-e-dauran ne dar-ba-dar sab ko
jo sar mein pahle tha wo panw mein hai chakkar aaj

samajh raha tha jise khair-khwah main apna
wahi hai dushman-e-jaan mera sab se badh kar aaj

fasil-e-shahr ke andar the kitne ahl-e-hunar
nahin hai jin se shanasa koi bhi bahar aaj

wo dars lete nahin jang-e-karbala se koi
jo saf-shikan the wo hain dushmanon se shashdar aaj

wo qaum kaise taraqqi karegi duniya mein
nahin hai jis ka kahin koi ek rahbar aaj

bikhar ke rah gaya khud jin ka apna shiraaza
samajh rahe hain ki hain waqt ke sikandar aaj

agar muhasba apna karen to paenge
nahin hai hum se jahan mein koi bhi bad-tar aaj

jo apne hath se kashti jalate the apni
nahin milenge kahin aise wo qalandar aaj

dikha raha hai mujhe sabz-bagh jo 'barqi'
wo le ke phirta hai kyun aastin mein khanjar aaj


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close