sukut-e-lab ko shikasta-dili samajhte hain

sukut-e-lab ko shikasta-dili samajhte hain
ye kam-nigah fareb-e-khudi samajhte hain

jo tirgi mein bhatakte hain rahnuma hain wo
jo raushni hai use tirgi samajhte hain

nizam-e-kohna ka padhte hain wo qasida phir
jo raqs-e-maut ko bhi zindagi samajhte hain

tabassum-e-lab-e-jaanan se khelne wale
gham-e-wafa ko gham-e-zindagi samajhte hain

sajae jate hain daman ko aaj kanton se
khayal-e-gul ko mata-e-kali samajhte hain

junun ki dad bhula denge kya khirad ke ghulam
jo zinda-dil hain use zindagi samajhte hain

ye zarf apna hai 'nazir' ki is zamane ne
jo gham diya hai use hum khushi samajhte hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close