sulag rahi hai zamin ya siphar aankhon mein

sulag rahi hai zamin ya siphar aankhon mein
dhuan dhuan sa hai kyun tera shahr aankhon mein

khule dariche ke bahar hai kaun sa mausam
ki aag bharne lagi sard lahr aankhon mein

kahan hai nind ki hum khwab dekhen amrit ka
jo sham guzri hai us ka hai zahr aankhon mein

khafa hue bhi kisi se to kya kiya hum ne
bahut hua to raha dil ka qahr aankhon mein

koi utarne baithe to hath jal jae
khinchi hai ab ke wo taswir-e-dahr aankhon mein

wahi hai pyas ka manzar wahi lahu 'qaisar'
hanuz phirti hai kone ki nahr aankhon mein


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close