sulagti ret pe chalna pade khuda na kare meri tarah tujhe qismat barahna-pa na kare phir is ke baad meri zindagi wafa na kare main tujh ko bhul ke zinda rahun khuda na kare ek ek pal hai aziyyat nafas nafas hai azab jo mujh ko dekh le jine ka hausla na kare jise majal-e-takallum na ho wo chup baithe badon ki baat sune koi tabsira na kare chhue baghair charaghon ko wo guzar jae hawa se koi bhi aisa mutalba na kare ye nasl lafz-e-mohabbat se aashna hi nahin koi kisi se bhi tahzib ka gila na kare khabar ye hai ki udhar chal rahi hai garm hawa koi parinda bhi hijrat ka faisla na kare suluk jis ka ho sab ke liye shajar jaisa kisi bhi umr mein bachchon ka aasra na kare ye mashwara hai mera 'ramz' e'tiraaz nahin parai aag bujhane mein khud jala na kare