suluk dekh liya be-hunar hawaon ka

suluk dekh liya be-hunar hawaon ka
har ek shakh hai manzar udas rahon ka

wo chand ban ke meri raat par utarta hai
to kaise yaad rakhun rang phir qabaon ka

na koi nazm hi likkhi na tujh se baat hui
ye pura sal hi thahra mujhe sazaon ka

talab rahe to mahakte hain chahaton ke phul
talab mite to sila kaisa phir wafaon ka

nahin ye koh-e-nida se hai kuchh alag basti
jawab aata nahin laut kar sadaon ka


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close