sun bastiyon ka haal jo had se guzar gain un ummaton ka zikr jo raston mein mar gain kar yaad un dinon ko ki aabaad thin yahan galiyan jo khak o khun ki dahshat se bhar gain sarsar ki zad mein aae hue baam-o-dar ko dekh kaisi hawaen kaisa nagar sard kar gain kya bab the yahan jo sada se nahin khule kaisi duaen thin jo yahan be-asar gain tanha ujad burjon mein phirta hai tu 'munir' wo zar-fishaniyan tere rukh ki kidhar gain