jab ham-nashin hamara bhi ahd-e-shabab tha kya kya nashat-o-aish se dil kaamyab tha hairat hai us ki zud-rawi kya kahen hum aah naqsh-e-tilism tha wo koi ya habab tha tha jab wo jalwa-gar to dil-o-jaan mein dam-ba-dam ishrat ki had na aish-o-tarab ka hisab tha the bagh-e-zindagi ke usi se hi aab-o-rang diwan-e-umr ka bhi wahi intikhab tha apni to fahm mein wahi hangam ai 'nazir' majmua-e-hayat ka lubb-e-lubab tha