suna hai is taraf ka ruKH karenge

suna hai is taraf ka rukh karenge
tere dushman meri jaanib badhenge

kisi se kuchh na puchha kuchh na jaana
ye dhabbe khun ke kaise dhulenge

bahut hain chaar din ye zindagi ke
kabhi ran mein kabhi ghar mein rahenge

masihaon ko ab zahmat na hogi
hum un ke aate aate mar chukenge

kahan jate hain ghabrae hue log
ki sahra mein to diwane rahenge

abhi marne ki jaldi hai 'ibaadi'
agar zinda rahe to phir milenge


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close