khula hai jalwa-e-pinhan se az-bas chaak wahshat ka

khula hai jalwa-e-pinhan se az-bas chaak wahshat ka
main darta hun kahin parda na phat jae haqiqat ka

kahan le jaega yarab samand-e-tund wahshat ka
ki pichhe rah gaya koson doraha nar-o-jannat ka

ghubar-e-rang-e-parran hai pharera teri rayat ka
shikast-e-qalb-e-ashiq ghalghala hai teri nusrat ka

kiya hai qasd kis ke kangur-e-aiwan-e-rifat ka
ki thama hai tere nale ne paya arsh-e-himmat ka

jhuka di qudsiyon ne be-takalluf gardan-e-taat
zahe-rutba kaf-e-khak-e-dar-e-wala-e-daulat ka

khule kis tarah parda parda-e-gosh-e-tahayyur par
ki be-saut-o-sada hai parda saz-e-bazm-e-wahdat ka

sanam taq-e-haram se dafatan niche utar aae
adab tha bas ki wajib dost ke qasid ke talat ka

hijab-e-tan kasad-e-raunaq-e-kala-e-yusuf hai
taraddud kya hai zindan-khana-e-hijran se hijrat ka

salatin ko nahin pata mizaj un ke faqiron ka
ki anqa-e-falak-parwaz hai qaf-e-qanaat ka

lab-e-asnam hain qand-e-sukhan se sar-ba-mohr ab tak
khamoshi se maza puchhe koi teri fasahat ka

maze milte hain kya kya ishq ke lazzat-shanason ko
hamein daman-e-zakhm-e-dil ewaz hai khwan-e-neamat ka

tere hairat-kade mein farsh hai aaina kya o but
ki khasan-e-dar-e-daulat ko hi khatka hai zillat ka

nigah be-his khat-e-saghar ki surat hai ki saqi ne
diya hai mardum-e-chashm-e-jahan ko jam hairat ka

talash-e-jalwa-e-mani mein takraya kiye sajde
na tuta dast-e-khushk-e-zohd se but-khana surat ka

qayamat-e-barhami dali to hijran ki ghadi guzri
zamin hai gard shisha aasman shisha hai saat ka

buton par lat mari mehr-o-mah se pher lin aankhen
'bayan' allah re ghamza mere husn-e-aqidat ka


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close