suna hai un ke lab par kal tha zikr-e-muKHtasar mera

suna hai un ke lab par kal tha zikr-e-mukhtasar mera
tasawwur de raha hai tul isi ko kis qadar mera

ye dil-sozi-e-dard-e-adamiyyat kya qayamat hai
kisi ki aankh se aansu bahen daman ho tar mera

tasawwur mai-kade ka mushtarak ho kis tarah naseh?
khirad saghar-shikan teri junun paimana-gar mera

yahi aalam raha gar shauq ki aaina-bandi ka!
to gum ho jaega jalwon mein shauq-e-khud-nigar mera

khuda-ra kuchh to naz-e-sar-bulandi rahm kar mujh par
tere bar-e-giran se ab jhuka jata hai sar mera

ulajh kar rah gai thi aql to parde ke taron mein
badi mushkil se kaam aaya junun-e-parda-dar mera

nahin 'parwez' kuchh apne hi ashkon ki nami is mein
bana hai aastin-e-dostan daman-e-tar mera


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close