suna ke apne aish-e-tam ki rudad ke TukDe

suna ke apne aish-e-tam ki rudad ke tukde
uda dunga kisi din charkh ki bedad ke tukde

asiri ko ata kar ke asiri ka sharaf hum ne
uda dale khud apni fitrat-e-azad ke tukde

kahan ka aadmi insan kaisa ma-hasal ye hai
kahin ashkhas ke purze kahin afrad ke tukde

tabahi ke mazon se bhi gae ab wae-mahrumi
sametunga kahan tak hasrat-e-barbaad ke tukde

ye sina talkh yaadon ka khazina hi sahi lekin
bahut chubhte hain dil mein ek nukili yaad ke tukde

tum achchhe hi sahi mera bura hona bhi hai bar-haq
ki hum sab hain kisi majmua-e-azdad ke tukde

hamein lakht-e-jigar khane ko hargiz kam na tha 'akhtar'
magar qismat mein likkhe the jahanabaad ke tukde


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close