sunta raha hai aur sunega jahan mujhe yun rakh gaya hai koi sar-e-dastan mujhe suqraat kya masih kya zikr-e-husain kya mazi suna raha hai meri dastan mujhe be-nur mere baad hui bazm-e-kainat tum to bata rahe the bahut raegan mujhe maujon se ek umr raha marka magar gharqab kar gain meri gahraiyan mujhe kis ko guman tha waqt ka dhalte hi aaftab aa kar daraengi meri parchhaiyan mujhe 'asrar' un ke lab to khulen kuchh jawab mein na bhi agar kahenge to wo hogi han mujhe