surat-e-sabza-e-be-gana chaman se guzre

surat-e-sabza-e-be-gana chaman se guzre
hum musafir ki tarah apne watan se guzre

sahl hai nara-e-mansur magar sahl nahin
har koi marhala-e-dar-o-rasan se guzre

lala-o-gul ko tabassum ki ziya di hum ne
jalwa-e-subh ki manind chaman se guzre

hai ye kya raushni-e-fikr ki tira-bakhti
jalwa-e-ruh na pairahan-e-tan se guzre

wo kare tajziya-e-mausam-e-gul jis ki nazar
bazm-e-gul mein hadd-e-nasrin-o-saman se guzre

dil pe kya guzri ye dil hi ko khabar hai lekin
muskuraate hue hum dar-e-mehan se guzre

na kisi panw ki aahat na koi naqsh-e-qadam
qafile ruh ke yun kucha-e-tan se guzre

ek zarre mein kabhi kho gain kitni kirnen
kitne khurshid kabhi ek kiran se guzre

nikhat-e-gesu-e-jaanan bhi ajab thi 'hurmat'
hum tasawwur mein kai bar khutan se guzre


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close